main deewana ho jata hoon
jab bhi usse bat karun to
deewana dil kho jata hoon
na uska deedar karun to
mujhse ab ye mat pucho ki
hal mera ab kaisa hai
na jagta na so pata hoon
jab uski na baat karun to
usko lagta hoga ki main
bhool gaya beeti batain
yaad main uski ro jata hoon
dard bahut bardast karun to
-alok"pratham"